har zehn riwayat ka maqtal na hua tha wo aaj hua hai jo yahan kal na hua tha kyun daud padi khalq us ek shakhs ke pichhe kya shahr mein aage koi pagal na hua tha the band makanon ki tarah log pur-asrar ek bab-e-sukhan tha jo muqaffal na hua tha dil khun kiya tum ne to pani hue jazbe ye masala mujh se to kabhi hal na hua tha tarik tha apni hi nazar ka koi pahlu suraj to kabhi aankh se ojhal na hua tha yun us ki shujaat hui mashkuk pas-e-jang tanha wo sipahi tha jo ghael na hua tha kab safha-e-hasti pe thi qaem koi surat wo naqsh tha baqi jo mukammal na hua tha thi din ki khuli dhup mere khun ki pyasi sar mera charagh-e-shab-e-maqtal na hua tha