koi rishta na ho phir bhi rishte bahut aap apne nahin aap apne bahut raaz rakhte na hum is talluq ko gar log rote bahut log hanste bahut dil ki tanhaiyon ka mudawa nahin ghum kar hum ne dekhe hain mele bahut is hi buniyaad par kyun na mil jaen hum aap tanha bahut hum akele bahut jab thi manzil nazar mein to rasta tha ek gum hui hai jo manzil to raste bahut khwab tabir ke mod par kho gae yun ki tabir-dan pad ke soe bahut ped ko katne wale dekhen zara ped par hain bane aashiyane bahut dubne wale shayad ye batla saken dubne ko sahaare ke tinke bahut