har zulm tera yaad hai bhula to nahin hun

har zulm tera yaad hai bhula to nahin hun
ai wada-faramosh main tujh sa to nahin hun

ai waqt mitana mujhe aasan nahin hai
insan hun koi naqsh-e-kaf-e-pa to nahin hun

chup-chap sahi maslahatan waqt ke hathon
majbur sahi waqt se haara to nahin hun

ye din to mujhe un ke taghaful ne dikhae
main gardish-e-dauran tera mara to nahin hun

un ke liye lad jaunga taqdir main tujh se
haalanki kabhi tujh se main uljha to nahin hun

sahil pe khade ho tumhein kya gham chale jaana
main dub raha hun abhi duba to nahin hun

kyon shor bapa hai zara dekho to nikal kar
main us ki gali se abhi guzra to nahin hun

'muztar' mujhe kyon dekhta rahta hai zamana
diwana sahi un ka tamasha to nahin hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close