usne ye fasla is waste rakkha hoga

us ne ye fasla is waste rakkha hoga
pas aa kar mere baithega to charcha hoga

aaj phir us ne mujhe yaad kiya hai shayad
dil ne yunhi to nahin shor machaya hoga

dekhna log mohabbat ki misalen denge
nam aaega mera zikr tumhaara hoga

dard bechaini tadap ranj-o-alam tanhai
hum ne socha hi nahin itna khasara hoga

jis ko din-raat duaon mein hai manga hum ne
waqt aaega kisi din wo hamara hoga

hijr is waste manzur kiya hai main ne
tera har zakhm mujhe dil se gawara hoga

us ki bechaini batati hai ki aadil 'rahi'
bhula-bisra hi koi yaad to aata hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close