haram hai kya chiz dair kya hai kisi pe meri nazar nahin hai main tere jalwon mein kho gaya hun mujhe ab apni khabar nahin hai jinhen hai dar rah-e-imtihan se unhen abhi ye khabar nahin hai agar karam un ka rahbar ho kathin koi rahguzar nahin hai ba-shauq-e-sajda chale hain lekin ajib maslak hai aashiqon ka wahan ibaadat haram thahri jahan tera sang-e-dar nahin hai teri talab teri aarzu mein nahin mujhe hosh zindagi ka jhuka hun yun tere aastan par ki mujh ko ehsas-e-sar nahin hai teri nawazish meri masarrat meri tabahi jalal tera kahin nahin hai mera thikana jo teri sidhi nazar nahin hai jahan bhi hai koi mitne wala teri inayat ke sae mein hai bana liya jis ko tu ne apna jahan mein wo dar-ba-dar nahin hai har ek jagah tu hi jalwa-gar hai wo but-kada ho ya tur-e-sina nigah-e-duniya hai kor baatin teri tajalli kidhar nahin hai yahin pe jina yahin pe marna yahin hai duniya yahin hai uqba 'fana' dar-e-yar ke alawa kahin hamara guzar nahin hai