jab badha dard ki maujon ka dabaw sahab meri sanson ki larazne lagi naw sahab is se badh kar nahin afsurda-mizaji ka ilaj dil agar roe to auron ko hansao sahab ghup andhere mein ugata hun sukhan ka suraj be-sabab thodi hai raaton se lagaw sahab jab nahin milti nae zakhm ki saughat mujhe chhil deta hun purana koi ghaw sahab jis ki danai ne mansukh kiye hosh-o-hawas aise nadan pe patthar na uthao sahab main ne us husn-e-mujassam ki ziyarat ki hai meri aankhon ke zara dam lagao sahab bijliyan wasl ki sanson pe girao sahab rukh se bhigi hui zulfon ko hatao sahab jaise sahraon mein milte hain do pyase dariya hont se hont kuchh is tarah milao sahab dil mohabbat ki saqafat ka azal se hai amin is shahanshah ko nafrat na sikhao sahab jit kar jashn manana to hui aam si baat haar kar bhi to kabhi jashn manao sahab hum nae ahd ke suqraat hain is bar hamein zahr ka pyala nahin jam pilao sahab