haram ki rah mein sunte hain ek but-KHana aata hai

haram ki rah mein sunte hain ek but-khana aata hai
usi manzil pe shayad dost ka kashana aata hai

ba-su-e-mai-kada jab bhi koi mastana aata hai
surahi jhumti hai wajd mein paimana aata hai

ye haalat ho gai apni junun mein in dinon hamdam
wahin manzil banata hun jahan virana aata hai

na jaane haal kya hoga meri majbur tauba ka
machal jata hai dil jab samne paimana aata hai

machaya shor zanjiron ne yaksu ho gae aada
ajab andaz se zalim tera diwana aata hai

hai dil bechain kuchh bad-zauqi-e-ahbab se warna
'zafar' mazmun le kar bazm mein shahana aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close