haram-o-dair mein hum ne ye tamasha dekha yani har ghar mein usi yaad ka jalwa dekha ek tumhein chahne wale nahin ai shaikh-e-haram barhaman ko bhi usi shokh ka shaida dekha ku-ba-ku chaak-gareban jo phira karte ho dil lagane ka zamane mein natija dekha na tabiat kabhi badli na nigahen un ki hum ne har roz zamane ko badalta dekha kis liye aaj pareshan hua jata hai tu kya mera zakhm-e-jigar tu ne masiha dekha tab-e-nazara na thi jab to gae kyon musa aap ne had se guzarne ka natija dekha suniye suniye ki huin hain meri makhmur aankhen aap ke sar ki qasam aap ka jalwa dekha wah kya khub wo naraaz hue ruth gae mera chehra jo dam-e-arz-e-tamanna dekha hum to maqtal mein jigar tham ke tadpe lekin tum ne kis tarah se bismil ka tadapna dekha josh-e-wahshat mujhe sahra ki taraf le aaya aur aage jo badhe daman-e-dariya dekha shokh dil shokh tabiat ka hai insan 'sanjar' is ko har-waqt hasinon hi pe shaida dekha