haram-o-dair-o-kalisa se nikal aaya hun tab kahin ja ke main insan se mil paya hun kale patthar pe bhatakte hue qadmon ke nishan mujh se miliye main nai nasl ka sarmaya hun main bhi ehsas ki bhatti mein pada hun ye bata kaise angare teri palkon pe dekh aaya hun fasla kitna bhi ho is ghani aabaadi mein ye haqiqat hai ki main aap ka ham-saya hun mujh ko zaea na karo aankhon mein rahne do mujhe hun to qatra hi magar aap garan-maya hun aur kuchh der isi shakh pe rahne dije abhi ehsas hai zinda abhi murjhaya hun mujh ko alfaz ka jadu nahin aata 'naqwi' baat jo dil mein rahi hai wo na kah paya hun