hazar shab ke darichon mein mahtab saje

hazar shab ke darichon mein mahtab saje
na mera chaak-e-gareban sila na khwab saje

haqiqaton se na uljho bahut bhayanak hain
saje sajao agar der tak sarab saje

andhere ghar mein jale phir se aarzu ke charagh
jab ek shikasta se gul-dan mein gulab saje

charagh-e-shab ki tarah hum jalae jaenge
hamare baad hi mumkin hai aaftab saje

hadis-e-dil na sahi zeb-e-dastan hi sahi
hamare zikr se ek diary ke bab saje

mera kalam bhi meri hi tarah hai 'naqwi'
ab us ke shelf mein kab dekhiye kitab saje


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close