hare hain zakhm kuchh is tarah bhi mere sar ke tamam umr uthae hain naz patthar ke lahuluhan hua hai mera badan yun bhi pakad na paya kabhi hath main sitamgar ke bas ek harf-e-muqarrar ke jurm mein hum ne zaban pe war hazaron sahe hain khanjar ke wo log laya gaya hai jinhen barabar mein kisi tarah bhi nahin the mere barabar ke kuchh aise zakhm bhi sar ko jhuka ke khae hain jo mere bakht ke the aur na the muqaddar ke yahi utarenge manzil pe ek din mujh ko ye jitne zakhm hain panw mein mere thokar ke 'nabil' aaj wo sar pe sawar hain mere jo log ghar mein basae the main ne bahar ke