saliqa hai mujhe taron se lau lagane ka ki main charagh nahin dagh ke gharane ka wo dekh barf ke phulon mein jagti hai sahar yahi hai kya tera andaz muskurane ka khulus shart hai pi lunga zahr bhi ai dost to pahle sikh mujhe dhang aazmane ka liya jo shakh-e-gul-e-tar ko jhuk ke banhon mein wo ek bahana tha tujh ko gale lagane ka chali jo yaad tumhaari alakh jagati hui bhatak gaya koi jogi kisi thikane ka udun to chum lun tujh ko ki ek jugnu hun tu khwab hai kisi parbat ke shamiyane ka meri lagan ka safina na dub jae kahin tera wajud bhanwar hai kisi bahane ka tere kalam tere jam tere nam se 'prem' chamak raha hai sitara tere zamane ka