harf-e-aghaz-e-sada-e-kun-fakan tha aur main raqs mein suraj tha pila aasman tha aur main gir gai mundri zamin ki dhup ke talab main justuju mein ek jahan-e-be-nishan tha aur main raushni ke daere the tutte bante rahe lafz ki taulid ka zarrin saman tha aur main ek shua se chhantna the rang khushbu zaiqe ek pechida anokha imtihan tha aur mein than gaya tha ek tanaza izad o iblis mein darmiyan kaun aaya aks-e-na-tawan tha aur main be-yaqini aur yaqin ki sarhaden wazeh na thin imtizaj-e-la-zaman-o-la-makan tha aur main