harf-e-be-matlab ki main ne kis qadar tafsir ki shakl pahchani gai phir bhi na is taswir ki subh ka darwaza khulte hi chalo gulshan ki samt rang ud jaega phulon ka agar takhir ki qaid mere jism ke andar koi wahshi na ho sans leta hun to aati hai sada zanjir ki tere chehre par jo likkha tha meri aankhon mein hai hifz hai mujh ko ibarat ab bhi us tahrir ki tujh ko dekha bhi nahin lekin teri khwahish bhi hai ret ki diwar sath-e-ab par tamir ki ghar ki virani dar-o-diwar ke andar rahi main ne apne dard ko mohlat na di tashhir ki main ne lauh-e-arsh par likkha hua sab padh liya la meri aankhon mein mitti de meri taqdir ki mehr-o-mah lagte hain apne jism ke zarre mujhe sochta hun kaun si manzil hai ye taskhir ki lut chuke wo hath shahid jin se mangi thi dua han abhi tak hai fazaon mein mahak tasir ki