raat din aag mein pala suraj ban charagh-e-haram jala suraj zindagi dhup chhanw donon hai har kisi ko sikha gaya suraj aaj ji bhar ke dhup khani hai muddaton baad hai uga suraj sanjh se ab visal hone ko hai sahma sahma thaka thaka suraj samna pyas se hua jab jab aab ki samt chal pada suraj bhul ja raat ka chubha kanta phul ab to khila gaya suraj koi mazhab nahin laga is ka raushni ek si de gaya suraj nur hi nur hai mere andar mujh mein 'sima' sama gaya suraj