harf-e-ehsas ki tashkil kahan mumkin hai

harf-e-ehsas ki tashkil kahan mumkin hai
mere jazbaat ki tarsil kahan mumkin hai

pahle ek arz-e-tamanna ye bichhe jate hain
ab mere hukm ki tamil kahan mumkin hai

tere hote hue mahfil mein charaghan kyon kar
mahr-e-taban ko ye qindil kahan mumkin hai

yaad-e-rafta ka khazana mujhe bhaari hai bahut
hafize ki nai zambil kahan mumkin hai

shaz-o-nadir hi tamannaen jawan hoti hain
har ghadi nafs ki tahlil kahan mumkin hai

sochti rahti hain shab bhar wo sitara aankhen
khwab-e-girya ki wo takmil kahan mumkin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close