KHud-farebi ki kisi had ko nahin manti hai

khud-farebi ki kisi had ko nahin manti hai
qamat-e-shauq kisi qad ko nahin manti hai

bu-e-gul ho ki hawa ho ki mohabbat ki waba
itni sarkash hai ki sarhad ko nahin manti hai

wo andheron ka pujari hai use kya malum
raushni raat ki aamad ko nahin manti hai

koi surat dil-e-awara ki ye bechaini
kakh-e-yaqut ki masnad ko nahin manti hai

mustarad karte hain kuchh log khuda ko bhi magar
ek duniya hai jo is radd ko nahin manti hai

ghonsla shakh se girta hai hawa ke hathon
usi chidiya ka jo bargad ko nahin manti hai

ye tera nam-o-nasab dil ke na kaam aaega
ye mohabbat hai kisi had ko nahin manti hai

ek sailab umand aaya hai dil mein 'sima'
tishnagi dard ke is had ko nahin manti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close