harf-e-inkar ki iqrar-e-wafa tha kya tha khat mein ek jumla-e-mubham sa likha tha kya tha us ka chehra tha qamar tha ki tasawwur mera kal munderi pe koi jalwa-numa tha kya tha yak-ba-yak ho gaya ojhal wo nazar ke aage dhund ka ek bagula sa utha tha kya tha muskuraata tha magar aankh bhi nam thi us ki us ke sine mein koi dard chhupa tha kya tha subh tak lut gaya sindur kai mangon ka shab ke sannate mein ek shor utha tha kya tha bad-dua thi ki dua ye wahi jaane 'hasrat' zer-e-lab us ne magar kuchh to kaha tha kya tha