harf-e-nairang samajh rang-e-asatir mein aa hunar-e-izn-e-karamat meri zanjir mein aa main ki khwabida jaziron ke taaqub mein rahun tu ki ek bar kahin mauja-e-tabir mein aa khwahishen ishq ka eajaz nahin hoti hain chum kar matha kisi zulf-e-girah-gir mein aa dekha in taza gulabon ko nai hairat se gulshan-e-jism mein rah halqa-e-taswir mein aa waqf kar waqt-e-mulaqat mulaqat andar dasht ko dasht samajh khak-e-hama-gir mein aa aks-dar-aks koi aur tamasha-e-jawaz shisha-e-dil se nikal hairat-e-dil-gir mein aa masnad-e-ishq pe sultani nahin ho sakti ijz ke panw pakad faqr ki jagir mein aa raund kar ruh kisi jism ka ahwal samajh chhod de asl-e-khudi bahr-e-mazamir mein aa safha-e-khwab se uthun main sukhan ki manind tu kisi roz mere lafz ki tabir mein aa