kab ek maqam pe rukti hai sar-phiri hai hawa tamam shahr o bayaban ko chhanti hai hawa nasib-e-pa-e-junun hai sada ki dar-badri hawa-e-jada-o-manzil mein kab chali hai hawa ye pech-o-tab hai kaisa sabab nahin khulta bana bana ke bagule bigadti hai hawa siwae khak na kuchh hath aaj tak aaya sarab ret se sahra mein chhanti hai hawa ghazab ka ghaiz o ghazab tha jo hum na bikhre the bikhar gae hain to kaisi dari khadi hai hawa ukhad tod ke basti ke sab makanon ko chhipi khandar mein pashiman ro rahi hai hawa wo ek baat jo khud se bhi hum na kahte the zaban zaban pe wahi baat dhar gai hai hawa tamam lala o gul ke charagh raushan hain shajar shajar pe shagufon mein jal rahi hai hawa kab apna hath pahunchta gulab tak 'bilqis' mere nasib se shakhon mein ja phansi hai hawa