harf ko phul banate hue itraati hun

harf ko phul banate hue itraati hun
main tujhe apna batate hue itraati hun

sahil-e-waqt pe chalte hue dekha tum ne
naqsh-e-pa apne banate hue itraati hun

hai koi khwabcha kab se meri ungli thame
main use chalna sikhate hue itraati hun

utar aati hain meri chhat pe hansti raaten
aur main chand udate hue itraati hun

anginat najm tah-e-jaan mein utar aate hain
aankh ki putli ghumate hue itraati hun

lahlahata hai khayalon mein tumhaara chehra
aur main hath lagate hue itraati hun

dhup ki barkha hai ye chhajon baras jati hai
der tak is mein nahate hue itraati hun

kaise gulnar se ho jate hain aariz mere
main tere samne aate hue itraati hun

chahchahati hain khayalat ki chidiyan 'mahnaz'
dard ki fasl ugate hue itraati hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close