har shikan waqt ki peshani pe rakhi hui hai hum ne yun zindagi aasani pe rakhi hui hai kuchh bhi kah lijiye buniyaad hai aakhir buniyaad kya hua gar ye zamin pani pe rakhi hui hai guftugu kaise karen ahl-e-khirad se ki wahan apni har baat hi nadani pe rakhi hui hai tum ne samjha hai to bas itna hamein ki hum ne zindagi yun hi pareshani pe rakhi hui hai apni pahchan to bas ye hai ki pahchan apni hum ne ajdad ki sultani pe rakhi hui hai hae ki jins-e-giran bhi hai lahu insan ka aur yahi shai hai ki arzani pe rakhi hui hai ek muddat se hai dilli mein obaidurrahman ye nazar ab bhi ki hairani pe rakhi hui hai