hargiz kisi bhi taur kisi ke na ho sake hum us ke baad aur kisi ke na ho sake aaya tha aisa daur sabhi ke hue the hum phir aaya aisa daur kisi ke na ho sake afsos tum ko itni bhi fursat nahin mili tum mujh pe karte ghaur kisi ke na ho sake yani hum umr bhar rahe barbaad khud mein hi yani thikana-thor kisi ke na ho sake jo log sab ka khas bane phir rahe the 'aks' wo log khas taur kisi ke na ho sake