hargiz na rah pai farda-o-di ne dil par rahti hai ek haalat barah mahine dil par sakte mein hain mah-o-mehr dariya pade hain be-bahr hai sakht ghair-mauzun duniya zamin-e-dil par shoala charagh mein hai sauda dimagh mein hai sabit qadam hun ab tak din-e-mubin-e-dil par ya-ayyohal-majazib hai bas-ki zer-e-tartib majmuatul-fatawa qaul-e-matin-e-dil par likh lo ye meri rae kya kya sitam na dhae kal dil ne aadmi par aaj aadmi ne dil par ye ranj na-kashida ye jeb na-darida ai ishq rahm han rahm in tarkin-e-dil par mano ye ghar na chhodo duniya ko dekhte ho jo kuchh guzar chuki hai is na-makin-e-dil par ek sar hai na-kashuda ek qaul na-shanuda ek naghma na-saruda tarz-e-nawin-e-dil par padta hai jasta jasta maddham sa aur shikasta ek mah-e-nilmin ka partaw nagin-e-dil par sau bar idhar se guzra wo aatishin chaman sa ek barg-e-gul na rakkha dast-e-yamin-e-dil par khun-basta chashm-e-hairan paiwasta lan-gardan be-did balki be-dard balki kamine dil par tufan utha rakha tha aankhon ne wah-wa ka us ki nazar nahin thi kal aafrin-e-dil par rangin to bahut hai duniya magar mahashay dhabbe se pad gae hain kuchh aastin-e-dil par wo mah-e-naznin hai ya sarw-atishin hai ya fitna-e-qayamat barpa zamin-e-dil par sab na-malamaton ko sab be-karamaton ko sab sar-salamaton ko lana hai din-e-dil par 'jawed' ko dikha kar kahta hai sab se dilbar udham macha rakha tha in bhai-ji ne dil par faruqi aur ahmad-mushtaq ko tahayyat shakh-e-ghamgin-e-dil par hisn-e-hasin-e-dil par