khul gai khidki achanak phir bhi mujh ko dar na tha ab meri aankhon mein koi raat ka manzar na tha bah raha tha chaar su ek ret ka dariya magar jis jagah par main khada tha rasta banjar na tha shahr ke sare makan lagne lage hain ek se jis makan mein bhi gaya dekha mera wo ghar na tha yaad jab karne laga tab rang-e-mausam bhi khula log kahte the ki tughyani bhara sagar na tha raste 'premi' sabhi kyun kho gae gum ho gae is se pahle itni gahri dhund ka manzar na tha