hari thi shakh to baitha na us pe panchhi kyun lage hai ujde hue khwab si ye basti kyun mujhe khabar hai mere ghar mein sanp aankhen hain wagarna gham ke khazine chhupa ke rakhti kyun tumhi se tohmat-e-alam ko nisbaten mausum tumhein ko kahte hain sab log sab se achchhi kyun khizan ko mere hi khwabon ke nam kyun likkha zamin ne apni ye daulat mujhi ko saunpi kyun mera wajud bhi kya kuchh khuda se milta hai sawal-e-shak se hai begana meri hasti kyun ye ashk silsila-e-jaan ke bolte lab hain chhupa ke daulat-e-nayab tum ne rakkhi kyun wajud apna kise kab aziz tha 'nahid' hui hai sham se pahle hi sham gahri kyun