nigah ke liye ek khwab bhi ghanimat hai wo tirgi hai ki ye raushni ghanimat hai chalo kahin pe talluq ki koi shakl to ho kisi ke dil mein kisi ki kami ghanimat hai kam o ziyaada pe israr kya kiya jae hamare daur mein itni si bhi ghanimat hai badal rahe hain zamane ke rang kya kya dekh nazar utha ki ye nazzargi ghanimat hai na jaane waqt ki gardish dikhaegi kya rukh guzar rahi hai jo ye zindagi ghanimat hai gham-e-jahan ke jhamelon mein aaftab 'husain' khayal-e-yar ki aasudgi ghanimat hai