harif-e-matlab-e-mushkil nahin fusun-e-niyaz dua qubul ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz na ho ba-harzah bayaban-naward-e-wahm-e-wajud hanuz tere tasawwur mein hai nasheb-o-faraaz visal jalwa tamasha hai par dimagh kahan ki dije aaina-e-intizar ko pardaz har ek zarra-e-ashiq hai aaftab-parast gai na khak hue par hawa-e-jalwa-e-naz na puchh wusat-e-mai-khana-e-junun 'ghaalib' jahan ye kasa-e-gardun hai ek khak-andaz fareb-e-sanat-e-ijad ka tamasha dekh nigah aks-farosh o khayal aaina-saz zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-ara hai udi hai safha-e-khatir se surat-e-parwaz hujum-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai ki shisha nazuk o sahba-e-abgina-gudaz 'asad' se tark-e-wafa ka guman wo mani hai ki khinchiye par-e-tair se surat-e-parwaz hanuz ai asar-e-did nang-e-ruswai nigah fitna-khiram o dar-e-do-alam baz