nafs-e-sarkash ko qatl kar ai dil mustaid ho jihad par ai dil na phalegi tijarat-e-duniya hai yahan nafa mein zarar ai dil tere kirdar par hain shahid-e-haal khushk-lab aur chashm-e-tar ai dil na ro ulfat na hath se jae khel ja apni jaan par ai dil chahiye be-mahal na tapke ashk abruon par rahe nazar ai dil be-khudi mein nikal chala hai kidhar bhul jaana na apna ghar ai dil ku-e-jaanan hai maqtal-e-ushshaq le chala hai mujhe kidhar ai dil jaan jaani hai tujh ko hosh nahin tu bhi kitna hai be-khabar ai dil ishq-bazi hai aabru-rezi apne fealon se darguzar ai dil kyun nikal kar zalil hoti hai teri fariyaad-e-be-asar ai dil dhyan aathon-pahar usi ka hai kabhi apni bhi li khabar ai dil ishq ke marke mein mar qadam fath hai tere nam par ai dil ashk ho kar baha ki khun hua kya hui haalat-e-jigar ai dil gham-e-alam hai tere hisse mein tu bhi kya hai nasib-war ai dil tu agar aag hai wo pani hai 'bahr' ke shar se khauf kar ai dil