harim-e-dil se nikal aankh ke sarab mein aa meri tarah kabhi maidan-e-iztirab mein aa payambaron ki zabani kahi suni hum ne wo kah raha tha ki mere bhi intikhab mein aa suna hai aaj amari falak se utregi mujhe bhi nind gar aae to mere khwab mein aa tujhe khudai ka dawa hai gar to kam se kam zamin par koi din rang-e-bu-turab mein aa abhi hain sare sawalat tishna-kaam mere utha ke kandhe pe mina mere jawab mein aa utar di hain bhanwar mein bhi kashtiyan hum ne samundaron mein agar hai to is habab mein aa