harim-e-naz ko hum ghair ki mahfil nahin kahte raqibon par magar wo kaun tha mail nahin kahte jo rang-e-ishq se farigh ho us ko dil nahin kahte jo maujon se na takrae use sahil nahin kahte ishaara shama ka samjha na parwana to kya samjha manar-e-rah ko ahl-e-nazar manzil nahin kahte ba-rang-e-rishta-e-tasbih dil se rah hai dil ko bhatak jae jo is jade se us ko dil nahin kahte zulekha ke waqar-e-ishq ko sahra se kya nisbat jo khud khinch kar na aa jae use manzil nahin kahte mariz-e-gham ki ghaflat bhi kamal-e-hoshiyari hai jo gum ho jae jalwon mein use ghafil nahin kahte bharam us ka hi ai mansur tu ne rakh liya hota kisi ka raaz ai nadan sar-e-mahfil nahin kahte