har rasm har riwaj se tang aa chuke hain ab

har rasm har riwaj se tang aa chuke hain ab
hum apne hi samaj se tang aa chuke hain ab

kuchh hum se zindagi ke taqaze bhi ghat gae
kuchh hum bhi kaam-kaj se tang aa chuke hain ab

chaliye ki dekhte hain kisi aur ki taraf
hum apne ham-mizaj se tang aa chuke hain ab

hum ko maraz wo hai ki pareshan hain tabib
aur hum bhi har ilaj se tang aa chuke hain ab

hum dil ki dhadkanon se kahan tak jawab len
sanson ke ehtijaj se tang aa chuke hain ab

ye bojh kis faqir ke qadmon mein dal den
hum apne sar ke taj se tang aa chuke hain ab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close