harim-e-zat ke parde mein justuju yaran zahe-nasib mujhe meri aarzu yaran hawas ko ishq bata kar tahi-kadu yaran mai-e-ayagh se chhalka gae lahu yaran shabab hai mere saqi ka aaftab ki lau badan hai saz mein dipak ki ek numu yaran isi gunah ne malaek pe fauqiyat bakhshi yahi gunah bashariyyat ki aabru yaran kabhi khizan mein kabhi khar-o-khas ke parde mein chaman mein bikhre hain har-samt rang-o-bu yaran jise main khud se bhi kahne ki tab la na saka wo ek baat kahi un ke ru-ba-ru yaran wahi to jam-e-shifa hai bala-kashon ke liye wo ek nigah jo phirti hai chaar-su yaran usi khalish ne use khud-kushi pe uksaya ki ek shakhs se milta hai hu-ba-hu yaran zamana badla hai rang-e-chaman bhi badlega chinar ab nazar aate hain shoala-ru yaran