apni duniya khud ba-faiz-e-gham bana sakta hun main ek jahan-e-shauq-e-na-mohkam bana sakta hun main meri aankhon mein hain aansu tere daman mein bahaar gul bana sakta hai tu shabnam bana sakta hun main dil ke baje mein nahin malum kitne tar hain husn ko ek tar ka mahram bana sakta hun main phir haqiqat ki usi jannat ki jaanib laut kar bandagi ko laghzish-e-adam bana sakta hun main hasil-e-ashk-e-nadamat kuchh nahin is ke siwa hai jo daman tar usi ko nam bana sakta hun main ishq hun mere liye pas-e-hudud-e-hosh kya ho ke diwana bhi ek aalam bana sakta hun main jis qadar aansu gire utna hi insan ho saka zindagi shayad ba-qadr-e-gham bana sakta hun main khud-shanasi ki sharab-e-atishin bhar kar 'nushur' kasa-e-muflis ko jam-e-jam bana sakta hun main