harjai si aurat Thahri

harjai si aurat thahri
kis ki jeb mein daulat thahri

apni neki tohmat thahri
maula teri qudrat thahri

sip ko moti aankh ko aansu
apni apni qismat thahri

man sa qad-awar kaun hai jis ke
panw ke niche jannat thahri

kuchh to kaho bazar-e-khirad mein
majnun ki kya qimat thahri

hosh ki baaten sun kar hansna
diwanon ki aadat thahri

dil ke aaina-khane mein
ek patthar ki murat thahri

sahra sahra hosh ki baaten
shahron shahron wahshat thahri

tegh-o-gulu ki jang mein aksar
jaan se wazni izzat thahri

ghar baithe logon se na puchho
mehnat ki kya ujrat thahri

bhuk pasina pyas ki shiddat
mazduron ki ujrat thahri

aaj 'jamil' is shahr-e-sukhan mein
badnami bhi shohrat thahri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close