insaniyat ke nam ko ruswa na kijiye mat kijiye bura bhi gar achchha na kijiye ye moajizon ka daur nahin hai mere huzur qatil se zindagi ki tamanna na kijiye parde se khubiyon ke dikhengi buraiyan insan ko qarib se dekha na kijiye mat dhaaliye usulon ko sanche mein waqt ke yun maslahat ki aanch pe pighla na kijiye khuddariyon ki maut hai khud aadmi ki maut dast-e-talab ko surat-e-kasa na kijiye duniya na bhul jae mohabbat ki dastan 'arif' khuda ke waste aisa na kijiye