hasil-e-ilm-e-bashar jahl ka irfan hona umr bhar aql se sikha kiye nadan hona chaar zanjir-e-anasir pe hai zindan mauquf wahshat-e-ishq zara silsila-e-jumban hona jama karta hun gireban ke nikale hue tar yaad aaya hai mujhe sar-ba-gareban hona dil bas ek larzish-e-paiham hai sarapa yani tere aaina ko aata nahin hairan hona fal-afzudni-e-mushkil hai har aasani-e-kar meri mushkil ko mubarak nahin aasan hona rahat-e-anjam-e-gham aur raht-e-duniya malum likh diya dil ke muqaddar mein pareshan hona de tera husn-e-taghaful jise hai chahe fareb warna tu aur jafaon pe pashiman hona hae wo jalwa-e-aiman wo nigah-e-sar-e-tur fitna-saman se tera fitna-e-saman hona khak-e-'fani' ki qasam hai tujhe ai dasht-e-junun kis se sikha tere zarron ne bayaban hona