ye surmai aafaq ye shamon ke dhundalke aa jao bhi yaadon ke jharokon se nikal ke diwane chale aate hain sahra se nikal ke rakh den na kahin nazm-e-gulistan hi badal ke phulon ki tarah un ki hifazat hai zaruri ye aaj ke bachche hi bade hote hain kal ke hai jab to tahammul ki koi aah na nikle ek ashk ka qatra meri palkon se na dhalke do rotiyan izzat se jo mil jaen to bas hai darwaze pe le jae na waqt ahl-e-duwal ke jaen to kahan jaen tere chahne wale haalat ke tapte hue sahra se nikal ke hum dast-daraazi ke to qail nahin saqi hisse mein hamare bhi agar mai ho to chhalke fankar ki munh bolti taswir hai fan bhi tum kya ho bata dete hain ashaar ghazal ke kafi hai hamare liye mitti ke gharaunde hum khak-basar ahl nahin 'taj' mahal ke