hasin hain kis qadar manzar mein khud ko bhul jata hun tumhaare shahr mein aa kar main khud ko bhul jata hun nahin rahta zara bhi hosh mujh ko aane jaane ka tumhaare pas mein aa kar main khud ko bhul jata hun main kya hun kaun hun rahti nahin kuchh bhi khabar mujh ko tumhaari yaad mein aksar main khud ko bhul jata hun mera sona bhi kya hai jagna kya intizar-e-shab pada rahta hai ye bistar mein khud ko bhul jata hun ye mera jism meri ruh us ko saunp di main ne koi to hai mere andar main khud ko bhul jata hun ajab si khud faramoshi hai mujh par raat-din tari mere ai dost padh mantar main khud ko bhul jata hun na main diwana farzana na main parwana ai 'arpit' tajjub hai mujhe kyunkar main khud ko bhul jata hun