duniya ko hadson mein giraftar dekhna jab dekhna ho doston akhbar dekhna phir us ke baad shauq se baiat karo magar pahle amir-e-shahr ka kirdar dekhna us ki taraf hai amn ka parcham laga hua lekin mera wo khwab mein talwar dekhna nisbat hai hum ko tin sau terah se aaj mumkin nahin ke hum ko pade haar dekhna wo shakhs kya gaya meri binai le gaya main jis ko chahta tha lagatar dekhna 'ashfaq' tum ko yaad hai maghrib ke baad mein jaana chhaton pe chand se rukhsar dekhna