hasin khwab ke naqsh-o-nigar kyon tute khilaf-e-ba'is-e-ta'bir the so yun tute main is liye bhi tere sehr mein abhi tak hun main chahta hi nahin hun tera fusun tute main haar jaun magar jit chhin lun tujh se ke is maqam pe aa kar mera junun tute jahan-bhar mein dikhai de wahima mera gire jo khwab kabhi aankh se to yun tute shadid shor-e-fughan chaar-su sunai de sukut ka jo mere darmiyan sutun tute kabhi rakha hi nahin dil ko hath par main ne kabhi gira hi nahin dil to phir ye kyon tute use shikast nahin zarf tu samajh us ka wo tere samne ho kar jo sar-nigun tute