bhale sukut mein tute ya ku-ba-ku tute main chahta hun ki andar ki hao-hu tute tumhaari khak se ta'mir kya nahin hota mere wajud ko paikar mile jo tu tute main chahta hun tujhe dekh kar 'ibaadat ho main chahta hun tujhe dekh kar wuzu tute ye raat mushk-fashan aur nur-afshan ho kabhi agar jo mera khwab-e-rang-o-bu tute kabhi to khwab-e-pareshan bhi mahw-e-ghaflat ho kabhi to fikr o taraddud ki justuju tute dikhai degi hamein ru-baru haqiqat phir agar ye wahm ki murat jo chaar-su tute