hasin raaten udhaar le kar jamil manzar ke khwab dekhe zaif surat purane naukar ne apne afsar ke khwab dekhe murabba’on mein makan banaya to wahshaton ne karae acre kanal marlon mein aise simte ki inchon mein ghar ke khwab dekhe tumhaari duniya mein zindagi ki har ek zarurat hi bik rahi hai dukan se pani kharid lae to hauz-e-kausar ke khwab dekhe jo khun pasina baha ke apna kadakte noton ki khushbu sunghe use to fursat nahin hai sahib ki mushk-o-ambar ke khwab dekhe tamam duniya ke basiyon ke dimagh zanjiron mein jakad ke pukare aaqa ki ek malik ko haq hai naukar ke khwab dekhe wo jab bhi chahe ki apni marzi se sari duniya ke rang badle badal ke chashma laga ke dekhe jahan-e-digar ke khwab dekhe