jab hamari zindagi ke dard filmae gae doston ke hukm se sab scene katwae gae chhoti chhoti chadaren bikne lagin bazar mein aur phir un se ziyaada panw phailae gae tailon ki sang-e-marmar ki zaminen di gain is tarah kanton pe chalne wale phuslae gae dil pukara har ishaara tod do gadi bhagao aur sadak boli bahut se is tarah aae gae munh mein angare ko rakhne wala bachcha bach gaya munh mein angare ko sah sah kar khuda dhae gae zindagi rone ko waqt-e-mukhtasar ka nam hai aur hum bachche hain jo jannat se bahlae gae