hasinon ke sitam ko mehrbani kaun kahta hai adawat ko mohabbat ki nishani kaun kahta hai ye hai ek waqai tafsil meri aap-biti ki bayan-e-dard-e-dil ko ek kahani kaun kahta hai yahan har-dam nae jalwe yahan har-dam nae manzar ye duniya hai nai is ko purani kaun kahta hai tujhe jis ka nasha har-dam liye phirta hai jannat mein bata ai shaikh us kausar ko pani kaun kahta hai tariqa ye bhi hai ek imtihan-e-jazba-e-dil ka tumhaari be-rukhi ko bad-gumani kaun kahta hai bala hai qahr hai aafat hai fitna hai qayamat ka hasinon ki jawani ko jawani kaun kahta hai fana ho kar bhi hasil hai wahi rang-e-baqa us ka hamari hasti-e-fani ko fani kaun kahta hai hazaron ranj is mein 'arsh' lakhon kulfaten is mein mohabbat ko surud-e-zindagani kaun kahta hai