hasrat bhi aarzu bhi hai dil mein tumhin nahin

hasrat bhi aarzu bhi hai dil mein tumhin nahin
sab kuchh hai is makan mein lekin makin nahin

dawa abas hai tum ko ki mujh sa hasin nahin
duniya mein husn wale hain lakhon tumhin nahin

hum un ke jaur-o-zulm se bach kar rahen kahan
kis ja ye aasman nahin ye zamin nahin

un ka thikana un ka pata koi jaane kya
wo hain to sab jagah hain nahin to kahin nahin

hai aasman par na zamin par teri misal
yakta hai tu gharaz tera sani kahin nahin

ai nala-e-rasa ho zara aur bhi buland
hai pas dur ab falak-e-haft mein nahin

patthar paden nasib mein mujh bad-nasib ke
us but ke sang dar pe jo teri jabin nahin

kyun aaine mein kaun hai kis ka jawab hai
tum to ye kah rahe tujhe ki mujh sa hasin nahin

main jaun kaba chhod ke but-khana kya zarur
zahid hai us ka jalwa yahan bhi wahin nahin

nala-kanan hai abr to girya-kunan hai abr
furqat mein teri kis ka dil andoh-gin nahin

jate rahe jawani ke sath apne sare josh
'sabir' wo walwale wo umangen rahin nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close