nikal raha hun yaqin ki had se guman ki jaanib safar hai mera zamin se aasman ki jaanib munder par koi chashm-e-tar thi ki aaina tha sitara-e-sham dekhta tha makan ki jaanib ye khwab hai ya tilism koi ki khushk patte khinche chale ja rahe hain aab-e-rawan ki jaanib koi to upar se bojh dala gaya hai warna jhuka hua aasman hai kyun khak-dan ki jaanib to phir mere sath us ka chalna muhaal thahra dhyan rahta tha us ka sud-o-ziyan ki jaanib sukunat-e-qalb khali sine pe aise utri aman khudi chal ke aa gai be-aman ki jaanib