hasrat-e-ab-o-gil dobara nahin dekh duniya nahin hamesha nahin sochne ka koi natija nahin saya hai e'tibar-e-saya nahin sada-kari kai parat kai rang sadgi ek ada-e-sada nahin achchhe lagte hain achchhe log mujhe jo samajhte hain un se parda nahin main kahin aur kis tarah jaun tu kisi aur ke alawa nahin tujh se bhage sukun se bhage sar-garan hain ki dil-girafta nahin raat zanjir si qadam-ba-qadam ek manzil hai koi jada nahin husn to ho chala zamana-shanas ishq ka bhi koi bharosa nahin sunte hain ek jazira hai ki jahan ye bala-e-hawas-e-khamsa nahin ai sitaro kise pukarte ho is kharabe mein koi zinda nahin chandni khelti hai pani se itni barsat hai ki sabza nahin kaise be-dard hain ki jodte hain naram alfaz jin mein rishta nahin kahin ijad mahz be-mafhum kahin mafhum hai to lahja nahin kahin taswir nak-naqshe baghair kahin diwar hai daricha nahin un se kaghaz mein jaan kaise pade jin ki aankhon mein aks-e-taza nahin dushmani hai to dushmani hi sahi main nahin ya dukan-e-shisha nahin khak se kis ne uthte dekhi hai wo qayamat ki istiara nahin kabhi har sans mein zaman-o-makan kabhi barson mein ek lamha nahin bekali tar kasti jae 'khizan' hasrat-e-ab-o-gil dobara nahin