kashtiyan dub rahi hain koi sahil lao apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao phul kaghaz ke hain ab kanch ke gul-danon mein tum bhi bazar se patthar ke anadil lao ek aawaz ubharti hai pas-e-manzar-e-khun ai ujalo meri taswir ka qatil lao mud ke dekhoge to patthar se badal jaoge ab tasawwur mein na chhodi hui manzil lao raushni hai meri viran-nigahi ka sabab ab na chehra koi suraj ke mumasil lao