hasrat-e-dil ko mar kar dekha bojh sara utar kar dekha waqt mumkin kahan guzare to jaise main ne guzar kar dekha koi meri madad ko aaya nahin main ne sab ko pukar kar dekha dagh chehre pe raqs karte rahe aaine ko sanwar kar dekha wasl tabir ho nahin sakta hijr ka khwab mar kar dekha teri khatir nahin jo karna tha dekh le wo bhi yar kar dekha waqt mumkin kahan guzare to jaise main ne guzar kar dekha tishnagi kam na ho saki 'kausar' ek dariya ko par kar dekha